dhalte hue suraj ki pyar bhari nigahe
aur bicharne ke gum mein bhari thandi aahe
sun sharm se laal shaam ne sehamte hue se
ghoonghat khola
ye dekh pavan ne pedo ke patton se bola
ab purani khandhar jald se jaaon
itihas ke panno se chipi, bachi yaado ko
yahan le aaon
aur thirakti machalti khilkhilati yaadein
ek baar phir
mere angan mein, mere bujhe hue aakhon mein samaa gaye
mein khushi ke palon par hans pada,
gam ke sayoon se seham gaya
mein jeevan ke lay se sangharsh se
khoon mitti aur paani se
ek baar phir heraan ho gaya
aur phir in yaadon ne
raat ki leherti aanchal ko thama
mere jivan ki roshni ko
chand mein laga kar
timtimate sitaron mein milakar
amar jyoti kar dala